“Saamne Baithe Logon Ko Bhala-Bura Kehte Hain,, Aur Jinhe Dekha Bhi Nahi Unhe Khuda Kehte Hain,, Isse To Hum Beaqal Hi Sahi,, Jo Apni Jaan Ko Hi Khuda Kehte Hain,, Jo Unki Khoobsurati Kare Bayaan Use Jubaan Kehte Hain,, Jab Khud Jhuk Jaayen Hum Unka Pallu Chere Se Hatane Ko,, To Use Hi Hum Sajdaa Kehte Hain,, Duniya Gar Kehti Hai Kaafir Hume, Kehne Do,, Hum Apne Sanam Ke Dil Me Hain, Is Duniya Me Kahan Rehte Hain…..”
Tujhko Choo Kar Jo Hawa Aati Hai…
Teri Chooan Ka Ehsaash Dilaati Hai…
Teri Chooan Ka Ehsaash Dilaati Hai…
Mere Darwaze Pe Dastak De Kar Ye…
Teri Khusboo Se Mujhe Mehkaati Hai…
Teri Khusboo Se Mujhe Mehkaati Hai…
Tere Honthon Ka Sparsh Kar Ke Ye…
Mere Gaalon Ko Aake Sehlaati Hai…
Mere Gaalon Ko Aake Sehlaati Hai…
Jab Bhi Udaas Ho Kar Baithta Hoon Main…
Chupke Se Ashqon Ko Sukhaati Hai…
Chupke Se Ashqon Ko Sukhaati Hai…
Jab Bhi Yaad Teri Mujhe Sataati Hai…
Tere Aangan Ka Haal Mujhe Sunaati Hai…
Tere Aangan Ka Haal Mujhe Sunaati Hai…
Patjhad Me Pattiyon Ko Ghis-Ghis Ke…
Tere Khat Mujhe Aksar Padhaati Hai…
Tere Khat Mujhe Aksar Padhaati Hai…
Jab Bhi Tujhe Bhulaane Ki Sochta Hun…
Teri Awaaz Mujhe Ravi, Ravi Bulaati Hai……
Teri Awaaz Mujhe Ravi, Ravi Bulaati Hai……
No comments:
Post a Comment